ye zād-e-rāh hamesha safar meñ rakh lenā
bichhḌe vaqt kā manzar nazar meñ rakh lenā
mile to raas bhī aa.e lakīr hāthoñ kī
ye ik kamāl bhī dast-e-hunar meñ rakh lenā
safar hai lauT ke aanā agar nasīb na ho
sajā ke yaad mirī chashm-e-tar meñ rakh lenā
hamārī zad meñ hai puurī tarah fasīl-e-shab
hamārā naam numūd-e-sahar meñ rakh lenā
kisī kī yaad kī ḳhushbū safar meñ saath chale
kisī ke hijr kā mausam nazar meñ rakh lenā