kyā tum bhī tarīqa nayā ījād karo ho
ḳhud apnā banā kar mujhe barbād karo ho
rakkho ho har ik baar fasāne ko adhūrā
kab apne sitam shāmil-e-rūdād karo ho
lagtā nahīñ dilchasp jo shīrīñ kā fasāna
kyuuñ zikr-e-vafā koshī-e-farhād karo ho
pal bhar ko tumheñ ham se bhulāyā nahīñ jaatā
bhūle se kabhī tum bhī hameñ yaad karo ho
dekho ho kabhī aa ke ye vīrāni-e-dil bhī
āñkheñ mirī ḳhvāboñ se jo ābād karo ho