chhoTī sī ye baat sahī par khīñche hai ye tuul miyāñ
jīvan bhar kā rog bane hai do āñkhoñ kī bhuul miyāñ
kāñToñ ne jo zaḳhm lagā.e vo maanā bhar jā.eñge
un zaḳhmoñ ko kaise bharoge jin ko lagā.eñ phuul miyāñ
sukh DhūñDoge dukh pāoge priit ke badle jalte aañsū
riit yahī is jag kī pyāre is jag kā ma.amūl miyāñ
pyaar vafā kā chalan na ho gar dil se dil ko raah na ho
aisī ravish to is duniyā ko kar degī maj.hūl miyāñ
ruup kī devī raam na hogī chilla khīñcho jog karo
laakh lagāo tum āñkhoñ se un charnoñ kī dhuul miyāñ
'sayyad'-jī ke giit kabat sab sunte haiñ sar dhunte haiñ
prem-kathā ke rasiyā ik din kholeñge schōl miyāñ