ḳhayāl-o-ḳhvāb kī ab rahguzar meñ rahtā hai
ajiib shaḳhs hai aksar safar meñ rahtā hai
kisī kā dekhnā muḌ kar vo chashm-e-tar se mujhe
hamesha ab vahī manzar nazar meñ rahtā hai
tamām rāste muḌ kar yahīñ pahuñchte haiñ
vo is ḳhayāl se ab apne ghar meñ rahtā hai
masarratoñ ke kināre to Duub jaate haiñ
safīna dil kā ġhamoñ ke bhañvar meñ rahtā hai
kahāñ hai kaise batā.eñ yahī samajh liije
'shakīl' ab to kisī chashm-e-tar meñ rahtā hai