Syed Shakeel Desnavi

aaj phir waqt koi apni nishani mange

Syed Shakeel Desnavi

Bihar, India

1941
aaj phir vaqt koī apnī nishānī māñge
baat bhūlī huī zaḳhmoñ kī zabānī māñge
jazba-e-shauq ki vāraft-e-husn-e-ib.hām
aur vo shoḳh ki lafzoñ ke ma.ānī māñge
araq-ālūd haiñ ye soch ke aariz gul ke
sub.h-e-ḳhurshīd na shabnam kī javānī māñge
jaane kyuuñ shaam Dhale Dūbte sūraj kā samāñ
dil se phir bhūlī huī koī kahānī māñge
vaqt har gaam pe ik zaḳhm nayā detā hai
aur shā.ir se jahāñ zamzama-ḳhvānī māñge
dil ki tapte hue sahrā kā hai rahrav pyāre
phir tirī zulf se ik shaam suhānī māñge
Top Urdushayar.com