maiñ karb-e-but-tarāshī-e-āzar meñ qaid thā
sho.ale kā kyā qusūr jo patthar meñ qaid thā
jis kī tahoñ meñ ḳhud hī machaltī haiñ āñdhiyāñ
maiñ ḳhvāhishoñ ke aise samundar meñ qaid thā
pheñke hai mujh ko duur ye gardish hai kitnī tez
kin mushkiloñ se zaat ke mehvar meñ qaid thā
aate haiñ saare rāste muḌ kar yahīñ 'shakīl'
zindāñ mirā yahī thā isī ghar meñ qaid thā
jis kā tarīq-e-jañg hī shab-ḳhūñ rahā 'shakīl'
maiñ aise hādsāt ke lashkar meñ qaid thā