Syed Shakeel Desnavi

kahin ek masum nazuk si laDki mare zikr par jhenp jati to hogi

Syed Shakeel Desnavi

Bihar, India

1941
kahīñ ek ma.asūm nāzuk sī laḌkī mare zikr par jheñp jaatī to hogī
hayā-bār āñkhoñ meñ sapne sajā.e vo kuchh soch kar muskurātī to hogī
mire sher paḌh kar akele meñ aksar inheñ zer-e-lab gungunātī to hogī
mire naam phir kuchh vo likhne kī ḳhātir qalam be-irāda uThātī to hogī
hasīñ chāñdnī ho yā sāvan kī rut ho kasak us ke dil meñ jagātī to hogī
kisī ke tasavvur ko pahlū meñ pā kar vo sharmā ke ḳhud kasmasātī to hogī
mujhe pā ke bazm-e-tasavvur meñ tanhā vo palkoñ kī chilman girātī to hogī
baḌe pyaar se phir bahut hī lagan se vo ḳhvāboñ kī duniyā sajātī to hogī
vo ma.asūm tanhā pareshāñ sī laḌkī use yaad merī satātī to hogī
nigāhoñ ke bādal baraste jo hoñge vo chhup-chhup ke aañsū bahātī to hogī
kisī kī hasīñ shoḳh āñkhoñ meñ yaaro mirī yaad meñ jhilmilātī to hogī
sahelī ko tasvīr merī dikhā kar vo sharmā ke ḳhud jheñp jaatī to hogī
vo ban kar sañvar kar akele meñ aksar 'shakīl' ik qayāmat jagātī to hogī
tasavvur meñ mujh ko qarīb apne pā kar vo shīshe se nazreñ churātī to hogī
Top Urdushayar.com