tez ho jaa.eñ havā.eñ to bagūlā ho jā.ūñ
ghūmte ghūmte ham-raqba-e-sahrā ho jā.ūñ
ḳhud-kalāmī mirī aadat nahīñ majbūrī hai
yuuñ na masrūf rahūñ maiñ to akelā ho jā.ūñ
dūsrā paañv uThāne kī zarūrat na paḌe
aur maiñ fāteh-e-nāhīd-o-surayyā ho jā.ūñ
band āñkhoñ se na kar mashq-e-tasavvur din-rāt
ki hamesha ke liye jaan maiñ terā ho jā.ūñ
ye tirī gul-badanī ye tirī kam-pairahanī
sair-chashmī se kahīñ aur na pyāsā ho jā.ūñ
ik sirā hai magar aatā nahīñ hāthoñ meñ 'zubair'
jis bahāne se maiñ be-gāna-e-duniyā ho jā.ūñ