uThā kar barq-o-bārāñ se nazar mañjdhār par rakhnā
hamesha ke liye ye haath ab patvār par rakhnā
visālī mausamoñ kī bāzyābī chāhne vaalo
bajā.e shāḳh-e-gul dast-e-talab ruḳhsār par rakhnā
sar-e-taḳhlīq tan kab iḳhtirā.ī dhun nikal aa.e
zarā ye hoñT tum barbat ke TuuTe taar par rakhnā
vabāl-e-dosh thā ye tum kisī kone pe likh denā
numā.ish ke liye jab sar sutūn-e-dār par rakhnā
baqā-e-nau-e-insānī kī ḳhātir chāhtā huuñ maiñ
ab apne aap ko bārūd ke ambār par rakhnā
vo kirnoñ se bharī do-pahriyāñ ab yaad aatī haiñ
fatāda barg uThānā saaya ik ashjār par rakhnā
'zubair' aqvām-e-ālam meñ bhī ho tash.hīr vahshat kī
garebānoñ ke ye TukḌe ḳhat-e-āsār par rakhnā