jabīñ se nāḳhun-e-pā tak dikhā.ī kyuuñ nahīñ detā
vo ā.īna hai to apnī safā.ī kyuuñ nahīñ detā
dikhā.ī de rahe haiñ sāmne vāloñ ke hilte lab
magar vo kah rahe haiñ kyā sunā.ī kyuuñ nahīñ detā
samundar bhī tirī āñkhoñ meñ sahrā kī tarah gum hai
yahāñ vo tañgī-e-jā kī duhā.ī kyuuñ nahīñ detā
jab us ne toḌ dī zanjīr dīvāreñ girā dī haiñ
asīrī ke tasavvur se rihā.ī kyuuñ nahīñ detā
vo ḳhud se baḳhsh detā hai jahān-e-āb-o-gil mujh ko
talab ke bāvajūd āḳhir gadā.ī kyuuñ nahīñ detā
ab āñkhoñ se nahīñ hāthoñ se chhūnā chāhtā huuñ
mujhe vo vasl-āmeza judā.ī kyuuñ nahīñ detā
'zubair' ik baar uñglī bhī nahīñ chhūne ko miltī hai
vo apne hasht-pahlū meñ rasā.ī kyuuñ nahīñ detā