Zubair Shifai

qamar-gazida nazar se haala kahan se aaya

Zubair Shifai

qamar-gazīda nazar se haala kahāñ se aayā

charāġh bujhne ke ba.ad ujālā kahāñ se aayā

nadī meñ vo aur chāñd haiñ ek saath raushan

zamīñ par āsmān vaalā kahāñ se aayā

ye ġhuncha ġhuncha siyāh bhañvre bosa-ḳhvāhī

savād-e-gulshan meñ ham-nivāla kahāñ se aayā

fazā ālūdgī thī pahle niim qātil

ye dil meñ ek aur daaġh kaalā kahāñ se aayā

qarīb-tar dostoñ se hone aarzū meñ

abhī abhī pusht par ye bhālā kahāñ se aayā

maiñ ḳhvāb meñ bhī tirī galī se nahīñ guzartā

ye donoñ talvoñ meñ surḳh chhālā kahāñ se aayā

kahāñ gayā sikka sikka qārūn ḳhazāna

'zubair' hāthoñ meñ ye piyāla kahāñ se aayā

Top Urdushayar.com