ghar nahīñ bastī nahīñ shor-e-fuġhāñ chāroñ taraf hai
ek chauthā.ī zamīñ par āsmāñ chāroñ taraf hai
dauḌte haiñ rāt-din tiin aañkh bārah haath vaale
sard sannāTe meñ āvāz-e-sagāñ chāroñ taraf hai
launcher rocket Clashnikof bārūdī surañgeñ
ḳhuun kā dariyā pahāḌoñ meñ ravāñ chāroñ taraf hai
jism hai to sar nahīñ sar hai to dast-o-pā nahīñ
arz-e-pur-asrār meñ hū kā samāñ chāroñ taraf hai
surma.ī kohsār kī choTī pe barfānī parinda
bas ki gul kī chaah meñ gasht-e-ḳhizāñ chāroñ taraf hai
ishāre se alāmat tak zabāñ ḳhāmosh merī
kal 'zubair' apnā thā aaj us kā ziyāñ chāroñ taraf hai