raat ke pichhle pahar ik sansanāhaT sī huī
aur phir ek aur phir ek aur aahaT sī huī
daf.atan zanjīr khankī yak-ba-yak paT khul ga.e
sham.a kī lau meñ achānak thartharāhaT sī huī
ḳhasta-e-dīvār-o-dar yak-bārgī hilne lage
taaq thī vīrān lekin jagmagāhaT sī huī
ek paikar sā dhueñ ke biich lahrāne lagā
nīm-vā hoñToñ pe raqsāñ muskurāhaT sī huī
phir bhayānak raat phir pur-haul sannāTā 'zubair'
phir khañDar meñ shahparoñ kī phaḌphaḌāhaT sī huī