Zubair Shifai

tilsmati faza taKHt-e-sulaiman par liye jaana

Zubair Shifai

tilsmātī fazā taḳht-e-sulaimāñ par liye jaanā
mire ghar meñ utartī shaam kā manzar liye jaanā
vo asbāb-e-shikast-o-fatah ḳhud hī jaan jā.egā
alam jab haath se chhūTe to merā sar liye jaanā
garaj ke saath bijlī bhī chamaktī hai pahāḌoñ meñ
musāfir hai ki tūfānī havā ko ghar liye jaanā
khule jaate haiñ jaise dil ke saare band darvāze
ab un qadmoñ kī aahaT kyā samā.at par liye jaanā
vahāñ sunte nahīñ haiñ dekhte haiñ zaḳhm-e-peshānī
agar jaanā to ā.īna pas-e-jauhar liye jaanā
galī kī ḳhaak muTThī meñ liye haiñ chāhne vaale
'zubair' is kīmiyā ko tum bhī chuTkī-bhar liye jaanā
Top Urdushayar.com