chāroñ taraf haiñ ḳhār-o-ḳhas dasht meñ ghar hai baaġh sā
choTī pe kohsār kī jaltā hai kyā charāġh sā
āb-e-ravāñ kī guuñj se shorish-e-ḳhāk-o-bād tak
maiñ hī huuñ naqsh-e-jāvedāñ maiñ hī adam-surāġh sā
sub.h bhī resha resha hai shaam bhī hai rafū-talab
sīna-e-mahtāb bhī varna hai dil-e-dāġh sā
bahs huī na tabsira shor uThā na chup lagī
dil kī bisāt thī hī kyā TuuT gayā ayāġh sā
sher kaho to chup rahe kuchh na kaho to chauñk uThe
shahr meñ ek 'zubair' hai shā.ir-e-kam-dimāġh sā