baḌe ajiib manāzir nazar se guzre haiñ
jab ahl-e-hosh tirī rahguzar se guzre haiñ
musāfirān-e-rah-e-zīst kā shumār kahāñ
na jaane qāfile kitne udhar se guzre haiñ
tirī talāsh meñ duniyā ko chhān Daalā hai
tirī talāsh meñ har rahguzar se guzre haiñ
maiñ jāntā huuñ vahī dil ko dil banā deñge
musībatoñ ke jo tūfān sar se guzre haiñ
ye kah rahe the farishtoñ se mai-kade vaale
abhī janāb-e-'munavār' idhar se guzre haiñ