jab nazar jān0b-e-asbāb-e-fanā karte haiñ
pahle ham apnī taraf dekh liyā karte haiñ
jin ko hai tauq-o-salāsil ke taqāzoñ kā shu.ūr
vahī pābandi-e-ā.īn-e-vafā karte haiñ
kaash ham ko bhī batā deñ ye batāne vaale
choT lagtī hai koī dil pe to kyā karte haiñ
tarjumānī kā vasīla to haiñ dar-asl ye ashk
dil ke matlab ko ham āñkhoñ se adā karte haiñ
tohmat-e-ishq kahāñ aur kahāñ ye ma.asūm
muft badnām 'munavār' ko kiyā karte haiñ