Munawwar Lakhnavi

had-e-imkan se aage apni hairani nahin jati

Munawwar Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1897-1970
had-e-imkāñ se aage apnī hairānī nahīñ jaatī
nahīñ jaatī nazar kī pā-ba-jaulānī nahīñ jaatī
lab-e-ḳhāmosh sāhil se sukūñ kā dars miltā hai
magar amvāj-e-dariyā kī pareshānī nahīñ jaatī
jahāñ pahle kabhī sab gosh-bar-āvāz rahte the
vahāñ bhī ab mirī āvāz pahchānī nahīñ jaatī
haqīqat kuchh to apnī aabrū kā paas ho tujh ko
hazāroñ pairahan haiñ phir bhī uryānī nahīñ jaatī
nahīñ ta.azīm ke laa.eq nahīñ takrīm ke qābil
vo dar jis kī taraf ḳhud khiñch ke peshānī nahīñ jaatī
sukūñ hotā to hai phir bhī sukūñ hāsil nahīñ hotā
ki jaane kī tarah apnī pareshānī nahīñ jaatī
Top Urdushayar.com