Munawwar Lakhnavi

hai soz-e-gham ko garmi-e-bazar ki talash

Munawwar Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1897-1970
hai soz-e-ġham ko garmī-e-bāzār kī talāsh
is jins ko hai apne ḳharīdār kī talāsh
kāfir kī justujū hai na dīñ-dār kī talāsh
hai ek jazb-e-ġham ke parastār kī talāsh
āvārgī-e-chashm-e-tajassus abas nahīñ
kartī hai apne markaz-e-dīdār kī talāsh
juuyā gunāhgār hai lutf-e-karīm kā
lutf-e-karīm ko hai gunahgār kī talāsh
kyā jaane shāḳh shāḳh ne kyā gul khilā.e haiñ
hai āshiyāñ ko barq-e-sharar-bār kī talāsh
vārafta-e-junūn kā hai mudda.ā kuchh aur
sahrā kī justujū hai na gulzār kī talāsh
pursāñ koī bhī aaj 'munavār' mirā nahīñ
mujh ġham-zada ko hai kisī ġham-ḳhvār kī talāsh
Top Urdushayar.com