kisī sūrat se ho jaatā hai sāmān-e-safar paidā
irāda kar hī letā hai ḳhud apnī rahguzar paidā
gunahgārī kī niyyat ko gunahgārī nahīñ kahte
safar ke qasd se hotī hai kab gard-e-safar paidā
zarūrī kyā ki barse aag uupar se nasheman par
ḳhas-o-ḳhāshāk haiñ ho jā.eñge barq-o-sharar paidā
koī pursān-e-ġham ho yā na ho kyā farq paḌtā hai
aziyyat ḳhud hī kar letī hai apnā chāragar paidā
'munavār' mujh pe shām-e-yās ġhālib aa nahīñ saktī
ki har ummīd se hotā hai ik rañg-e-sahar paidā