mānūs ho ga.e haiñ sitam peshgī se ham
ab kyā kareñ karam kā taqāzā kisī se ham
is se to apne haq meñ añdherā hī ḳhuub thā
be-nūr ho ga.e haiñ na.ī raushnī se ham
āḳhir sar-e-niyāz jhukā.eñ to kis tarah
nā-āshnā haiñ rasm-o-rah-e-bandagī se ham
taskīn-e-zauq ke liye maġhz-e-suḳhan hai shart
āsūda-e-ġhazal na hue naġhmagī se ham
hadd-e-adab meñ rah ke 'munavār' ho guftugū
momin ke muñh na aa.eñ suḳhan-gustarī se ham