shikast-e-zarf se kho.eñ na ham bharam apnā
sharāb pī ke na bahke kabhī qadam apnā
ye jānte haiñ ki me.arāj-e-zindagī kyā hai
vafā kī raah meñ karte haiñ sar qalam apnā
ham apne dil ko maqām-e-ḳhudā samajhte haiñ
yahī hai der ab apnā yahī haram apnā
ye bal jabīn-e-qazā-o-qadar pe kyuuñ āḳhir
banā rahe haiñ muqaddar jo aaj ham apnā
bahut ḳhulūs 'munavār' ke dil meñ paatā huuñ
ajiib shaḳhs hai ye dost mohtaram apnā