chalegā jaam kisī kā na us ke jaam ke ba.ad
piyegā kaun 'munavār' se tishna-kām ke ba.ad
jo raaz thā mirī āvārgī pe ifshā thā
tilism ban ga.ī duniyā mire qayām ke ba.ad
kiyā hai ḳhūn-e-tamannā ne surḳh-rū kyā kyā
tamām kaam huā arz-e-nā-tamām ke ba.ad
jo be-talab mujhe baḳhshā thā māñgne pe bhī de
karīm buḳhl ye kaisā hai lutf-e-ām ke ba.ad
hazār haif 'munavār' kī tīra-baḳhtī par
fuzūl sā hai taḳhallus ye us ke naam ke ba.ad