har ik ke tajarbe se muḳhtalif hai tajraba merā
na kyuuñ sab se alag ho zindagī par tabsira merā
nahīñ ma.alūm kitnī martaba marnā paḌā mujh ko
jiye jaanā mirā har-hāl meñ hai mo.ajiza merā
mirī hastī nahīñ mahdūd hargiz chand lamhoñ tak
azal se tā-abad jaarī rahegā silsila merā
ye mujh se mashvara kyuuñ hai mirī qismat ke baare meñ
tumhārā faisla jo hai vahī hai faisla merā
'munavār' pahle apne zauq par tanqīd farmā leñ
mire ahbāb nāhaq le rahe haiñ jā.eza merā