ye itnī barhamī kyuuñ hai ye mujh se bad-gumāñ kyuuñ ho
jo maiñ tum ko sunātā huuñ vo merī dāstāñ kyuuñ ho
ilāhī ḳhair kyā koī musībat aane vaalī hai
jo ik duniyā se khiñchtā ho vo mujh par mehrbāñ kyuuñ ho
mirī ġhairat ye ḳhud-ārā.ī gavārā kar nahīñ saktī
na jo merā ḳhudā ho vo ḳhudā-e-do-jahāñ kyuuñ ho
ruḳh-e-gītī kā ġhāza ḳhaak hai in ḳhush-nihādoñ kī
vajūd-e-ahl-e-dil ahl-e-zamāna par garāñ kyuuñ ho
zamāna lamha lamha kaam aatā hai zamāne ke
'munavār' umr ik merī hī umr-e-rā.egāñ kyuuñ ho