mai-kada mere liye jā-e-tasādum to nahīñ
laakh nashsha hai magar hosh mire gum to nahīñ
mo'tariz kyuuñ hai zamāna mirī betābī par
ḳhāmushī kī hī adā hai ye takallum to nahīñ
kyuuñ safīna mirī hastī kā ho ġharqāb-e-fanā
jazr-o-mad dil kā hai dariyā kā talātum to nahīñ
ab ḳhatā-kosh na hoñ mujh ko ye tambīh bhī hai
ai ḳhatā-posh ye kuchh shān-e-tarahhum to nahīñ
us kī fariyād kā kyuuñ tum pe asar hotā hai
aur koī hai 'munavār' kā ḳhudā tum to nahīñ