tirī umīdoñ kā saath degī ināyat-e-barg-o-bār kab tak
bahār hai mehrbān tujh par magar rahegī bahār kab tak
jalā.ī tū ne agar na mash.al koī charāġh aur DhūñD leñge
jinheñ zarūrat hai raushnī kī kareñge vo intizār kab tak
ḳhayāl-e-tausī.a o rif.at-e-bām-o-dar kī ḳhvāhish bajā hai lekin
makān kā bojh sah sakegī binā-e-nā-pā.edār kab tak
tujhe gumāñ hai ki ḳhvāb tere shikast se māvarā haiñ shāyad
tujhe bachā.egā sañg-bārī se ā.inoñ kā hisār kab tak
kabhī to gulzār bārishoñ se chaman kā māhaul saaf hogā
fazā meñ phailā.egā kudūrat havā se uḌtā ġhubār kab tak