Gulzar Bukhari

zahir musafiron ka hunar ho nahin raha

Gulzar Bukhari

Mianwali, Punjab, Pakistan

1949
zāhir musāfiroñ kā hunar ho nahīñ rahā
chal bhī rahe haiñ aur safar ho nahīñ rahā
kyā hashr hai ki bārish-e-naisāñ ke bāvajūd
paidā kisī sadaf meñ guhar ho nahīñ rahā
sub.h-e-visāl kab se numūdār ho chukī
nāpaid shām-e-hijr kā Dar ho nahīñ rahā
qaa.il tamām shahr tire e.atibār kā
honā to chāhiye thā magar ho nahīñ rahā
baiThe hue haiñ der se shātir bisāt par
mohara koī idhar se udhar ho nahīñ rahā
lagtā hai yuuñ qayām hai apnā sarā.e meñ
ham jis makān meñ haiñ vo ghar ho nahīñ rahā
murda hue haiñ lafz ki patthar samā.ateñ
ḳhāmī kahīñ to hai ki asar ho nahīñ rahā
'gulzār' sab ne peḌ ko sīñchā hai ḳhuun se
taqsīm har kisī pe samar ho nahīñ rahā
Top Urdushayar.com