zābte aur hī misdāq pe rakkhe hue haiñ
āj-kal sidq-o-safā taaq pe rakkhe hue haiñ
vo jo ḳhud mārka-e-ishq meñ utre bhī nahīñ
shikva paspā.ī kā ushshāq pe rakkhe hue haiñ
bāñdh rakkhā hai mohabbat ne azal se ham ko
so tavajjoh isī mīsāq pe rakkhe hue haiñ
daḳhl āñkhoñ kā ulajhne meñ bahut hai lekin
tohmateñ sab dil-e-mushtāq pe rakkhe hue haiñ
jaane kab silsila-e-ḳhair-o-ḳhabar kā ho zuhūr
dhyān ham anfus o āfāq pe rakkhe hue haiñ
dekhiye kaun sā mafhūm liyā jā.egā
baat kar ke nazar itlāq pe rakkhe hue haiñ
tābish-e-shauq se alfāz haiñ raushan 'gulzār'
yā sitāre kaf-e-aurāq pe rakkhe hue haiñ