mohabbat ke sivā harf-o-bayāñ se kuchh nahīñ hotā
havā sākin rahe to bādbāñ se kuchh nahīñ hotā
chalūñ to maslahat ye kah ke paañv thaam letī hai
vahāñ jaanā bhī kyā hāsil jahāñ se kuchh nahīñ hotā
zarūrat-mañd hai sai-afgānī mashshāq hāthoñ kī
faqat yakjā.ī-e-tīr-o-kamāñ se kuchh nahīñ hotā
musalsal bārisheñ bhī sabza-o-gul lā nahīñ saktīñ
zamīñ jab be-numū ho āsmāñ se kuchh nahīñ hotā
talāfī ke liye darkār hai ā.īna-sāzī bhī
shikast-e-shīsha par zikr-e-zabāñ se kuchh nahīñ hotā
ḳhalā meñ tīr-andāzī se kyā 'gulzār' pāoge
mayassar is junūn-e-rā.egāñ se kuchh nahīñ hotā