tirī talab ne falak pe sab ke safar kā anjām likh diyā hai
kisī ko najm-e-sahar kisī ko sitāra-e-shām likh diyā hai
zabāñ pe harf-e-malāl kyuuñ ho ki ham haiñ raazī tirī razā par
tirā karam tū ne āb-o-dāna agar tah-e-dām likh diyā hai
bachā ke apne liye na rakkhā koī garebāñ kā taar ham ne
junūñ se jo kuchh bhī ham ne paayā vo sab tire naam likh diyā hai
nigāh bāzār par nahīñ thī vagarna kyuuñ chāra-sāz-e-ġham ne
marīz ke nusḳha-e-shifā meñ ḳhulūs kā jaam likh diyā hai
ye kis ke ḳhāme kā hai navishta ki bul-havas aish kar rahe haiñ
nasīb-e-ahl-e-nazar meñ kis ne hujūm-e-ālām likh diyā hai
jahān-e-harf-o-sadā meñ charchā na kyuuñ ho 'gulzār' ḳhaas terā
tire liye terī ḳhush-navā.ī ne shohra-e-ām likh diyā hai