Gulzar Bukhari

wafa ki tashhir karne wala fareb-gar hai sitam to ye hai

Gulzar Bukhari

Mianwali, Punjab, Pakistan

1949
vafā kī tash.hīr karne vaalā fareb-gar hai sitam to ye hai
nigāh-e-yārāñ meñ phir bhī vo shaḳhs mo'tabar hai sitam to ye hai
ham aise sāda-diloñ ko tujh se milegī dād-e-ḳhulūs kaise
zamāna-sāzī kī ḳhū tire ahd meñ hunar hai sitam to ye hai
agar tujhe ilm hī na hotā to phir kabhī ham gila na karte
sukūn kyuuñ chhin gayā hamārā tujhe ḳhabar hai sitam to ye hai
karishma-e-husn dāman-e-dil ko khīñchtā hai qadam qadam par
satā.ish-e-ḳhāl-o-ḳhad kī mī.ād muḳhtasar hai sitam to ye hai
khulā hai bāb-e-qafas to is par ḳhushī kā iz.hār kar rahe ho
milī hai jis ko rihā.ī mahrūm-e-bāl-o-par hai sitam to ye hai
Top Urdushayar.com