diye se yuuñ diyā jaltā rahegā
ujālā phūltā-phaltā rahegā
nahīñ hai bāñjh āvāzoñ kī dhartī
sadāoñ kā nasab chaltā rahegā
sakūñ ho bahr meñ yā ho talātum
guhar to siip meñ paltā rahegā
zamīñ par bārisheñ hotī raheñgī
samundar abr meñ Dhaltā rahegā
na baaz aa.egā ġhaflat se bhī insāñ
kaf-e-afsos bhī maltā rahegā
chhupāoge agar 'gulzār' ḳhud ko
vajūd apnā tumheñ khultā rahegā