Gulzar Bukhari

aks-e-raushan tera aaina-e-jaan mein rakkha

Gulzar Bukhari

Mianwali, Punjab, Pakistan

1949
aks-e-raushan tirā ā.īna-e-jāñ meñ rakkhā
ham ne tasvīr ko hairat ke jahāñ meñ rakkhā
kaun māyūs tirī bazm-e-ināyat se uThā
tere ikrām ne kis kis ko gumāñ meñ rakkhā
koī mad.hosh na ho sā.at-e-gul-bosī meñ
us ne yuuñ phuul ko kāñToñ kī amaañ meñ rakkhā
vo samajhtā thā ki haiñ sach ke ḳharīdār bahut
rah gayā maal sabhī us kī dukāñ meñ rakkhā
yaad ham aa na sake jashn-e-bahārāñ meñ use
ham-safar jis ne hameñ ahd-e-ḳhizāñ meñ rakkhā
ik parinda bhī nahīñ peḌ pe baaqī 'gulzār'
tiir sayyād ne kis vaqt kamāñ meñ rakkhā
Top Urdushayar.com