ham shaad hoñ kyā jab tak āzār salāmat hai
sar phoḌ chuke phir bhī dīvār salāmat hai
aayā tire hoñToñ par elān-e-junūñ kyuuñ kar
jab tere garebāñ kā har taar salāmat hai
andāz dikhā.e haiñ kyā shoḳhī-e-tiflāñ ne
is shahr meñ ab kis kī dīvār salāmat hai
luTtā hai to luT jaa.e sukh-chain faqīroñ kā
kyā fikr tujhe terā pindār salāmat hai
ik sañg ke ha.Tne se ḳhush-fahm na ho itnā
mat bhuul ki raste meñ kohsār salāmat hai
'gulzār' hameñ dekho kashtī ko Dubo kar bhī
kis faḳhr se kahte haiñ patvār salāmat hai