us kā chehra bhī chamak meñ na misālī niklā
chāñd sūraj ke ujāloñ kā savālī niklā
log samjhā kiye mausam hī nahīñ uḌne kā
us kī uzlat kā sabab be-par-o-bālī niklā
phuul to mil gayā ḳhushbū na magar haath lagī
us ko paane kā junūñ ḳhām-ḳhayālī niklā
bārish-e-sañg meñ bhī aa.ī duā hoñToñ par
sab ne kam-tar jise jaanā thā vo aalī niklā
be-hadaf tiir chalātā rahā koī 'gulzār'
jab zarūrat paḌī tarkash vahāñ ḳhālī niklā