āñdhī meñ bisāt ulaT ga.ī hai
ghanghor ghaTā bhī chhaT ga.ī hai
vo gard uḌaa.ī hai dukhoñ ne
dīvār-e-hayāt aT ga.ī hai
ḳhanjar kī tarah thī reg-e-sahrā
ḳheme kī tanāb kaT ga.ī hai
mīrās-e-gulāb thī jo ḳhushbū
jhoñkoñ meñ havā ke baT ga.ī hai
pyāsoñ kā hujūm rah gayā hai
ik tiir se mushk phaT ga.ī hai
ik aur bhī din guzar gayā hai
mī.ād-e-azāb ghaT ga.ī hai
sāhil kī baḌhā ke tishnagī mauj
dariyā kī taraf palaT ga.ī hai
phailāuñgā paañv kyā maiñ 'gulzār'
chādar hī mirī simaT ga.ī hai