Gulzar Bukhari

aaine ka munh bhi hairat se khula rah jaega

Gulzar Bukhari

Mianwali, Punjab, Pakistan

1949
ā.īne kā muñh bhī hairat se khulā rah jā.egā
jo bhī dekhegā tujhe vo dekhtā rah jā.egā
ham ne sab kuchh taj diyā terī rifāqat ke liye
tujh se bichhḌe to hamāre paas kyā rah jā.egā
mil sakeñge kis tarah ḳhvāboñ meñ ham jab hijr se
niiñd ho jā.egī ruḳhsat ratjagā rah jā.egā
ham agar terī razā hāsil nahīñ kar pā.eñge
umr bhar ham se hamārā dil ḳhafā rah jā.egā
jaane vāloñ kī kamī puurī kabhī hotī nahīñ
aane vaale ā.eñge phir bhī ḳhalā rah jā.egā
murta.ish āvāz kī lahreñ raheñgī der tak
saaz chup ho jā.eñge sail-e-sadā rah jā.egā
'hīr' ko 'gulzār' le jā.eñge kheḌe ek din
bāñsurī par tū dhuneñ hī chheḌtā rah jā.egā
Top Urdushayar.com