añdherī shab diyā jugnū qamar na.iiñ
safar meñ ab koī bhī ham-safar na.iiñ
ham aise band kamroñ ke makīñ haiñ
jahāñ taaza havāoñ kā guzar na.iiñ
ḳhushāmad chāplūsī jhuuT ġhībat
hamāre paas to koī hunar na.iiñ
jo ġhurbat ke añdheroñ meñ pale haiñ
na.ī tahzīb kā un par asar na.iiñ
ajab mausam milā hai zindagī ko
na.ī rut hai daraḳhtoñ par samar na.iiñ
sabab apnī hazīmat ke ka.ī the
bas ik tanhā bahādur-shah-zafar na.iiñ
ye kis jānib safar tum kar rahe ho
ab āñkhoñ meñ umīdoñ kā nagar na.iiñ
guzarne kā udhar se lutf hī kyā
jidhar maujeñ talātum aur bhañvar na.iiñ
us aane vaale kal kā kyā bharosa
jin agle chand lamhoñ kī ḳhabar na.iiñ
koī ik raat hī meñ ḳhatm kar le
maiñ qissa is qadar bhī muḳhtasar na.iiñ
jise 'ruḳhsār' ab maiñ sah rahā huuñ
musalsal ik aziyyat hai safar na.iiñ