ruKHsaar Nazimabadi

ab hathon mein pyar hai sahab

ruKHsaar Nazimabadi

Karachi, Sindh, Pakistan

1959
ab hāthoñ meñ pyaar hai sāhab
aur dil meñ talvār hai sāhab
ulTī ulTī rasmeñ le kar
ye ulTā sansār hai sāhab
majbūrī kī zanjīreñ haiñ
ishrat kā bāzār hai sāhab
sab dariyā meñ Duub rahe haiñ
sab kī nayyā paar hai sāhab
bhūke bachche jaag rahe haiñ
maañ ghar meñ bīmār hai sāhab
ham sab hī daryūza-gar haiñ
roTī kā bevpār hai sāhab
darvāze par aas lagī hai
saat samundar paar he sāhab
manzil manzil DhūñD rahā huuñ
kis jānib 'ruḳhsār' hai sāhab
Top Urdushayar.com