ruKHsaar Nazimabadi

tifl ne kuchh bhi nahin socha mila kar likh diya

ruKHsaar Nazimabadi

Karachi, Sindh, Pakistan

1959
tifl ne kuchh bhī nahīñ sochā milā kar likh diyā
zindagī aur maut ko bilkul barābar likh diyā
pahle to ik kāġhzī kashtī banā.ī aur phir
paar jaane ke liye us par muqaddar likh diyā
kal jahāñ par dil likhā thā vo jagah kamzor thī
maiñ ne dil kaaTā vahāñ se aur patthar likh diyā
mere hāthoñ meñ mashaqqat kī lakīreñ khīñch kar
jaane kyā sochā ki māthe par suḳhnavar likh diyā
jab savāl aayā ki ik mazmūn shā.ir par likheñ
to javāban amn kā shā.ir payambar likh diyā
january tā june kī mehnat mashaqqat ne janāb
vaqt se pahle hī chehre par december likh diyā
zindagī tere ta.āruf meñ bhalā aur kyā likhūñ
maiñ ne to har vāqi.a har ek manzar likh diyā
kar rahe the apnī apnī dāstāneñ sab raqam
ek jogī ne to kuuze meñ samundar likh diyā
Top Urdushayar.com