tark-e-ta.alluqāt kā va.ada nahīñ kiyā
va.ada agar kiyā use puurā nahīñ kiyā
ik kaam thā zarūrī zarūrī thā ek kaam
dil mutma.in nahīñ thā lihāzā nahīñ kiyā
jaisī milī hai vaisī guzārī hai zindagī
ham ne kahīñ bhī jhūTā dikhāvā nahīñ kiyā
ḳhud ko ka.ī maqām pe ḳham to kiyā zarūr
lekin kisī ke rū-ba-rū sajda nahīñ kiyā
apnī bisāt se bhī baḌhā kar ke ḳhvāhishāt
apne dukhoñ meñ aur izāfa nahīñ kiyā
dhokā kisī ke saath jo karnā paḌā agar
vo bhī zarūratoñ se ziyāda nahīñ kiyā
ik baar bārgāh-e-ilāhī meñ kī duā
phir us se duujī baar taqāza nahīñ kiyā
jis se bhī hai faqat vo usūloñ kī jañg hai
varna kabhī kisī se bhī jhagḌā nahīñ kiyā
raḳht-e-safar meñ sab ko barābar kiyā sharīk
taqsīm-e-zād-e-rāh anokhā nahīñ kiyā