ai ḳhudā-e-pāk rabb-e-zul-jalāl
zindagī ko maut ke Dar se nikāl
chhoḌ ai nekī-zada pichhlī misāl
jazba-e-nekī bhī ab dariyā meñ Daal
ik ajab sī kaifiyat hai in dinoñ
na ḳhushī hai aur na koī malāl
zindagī terā muqaddar maut hai
roz ham karte haiñ terī dekh bhaal
ik to ye dozaḳh milā īñdhan talab
aur is par justujū rizq-e-halāl
jis jagah par ḳhatm hoñ sab rāste
phir vahīñ se ik nayā rasta nikāl
ye batā ravāq ke ma.anī haiñ kyā
bhuuk kī shiddat ye kartī hai savāl
mere jaise shā.iroñ kī zindagī
na to maazī hai na mustaqbil na haal
zindagī meñ sab ke sab uljhe hue
zindagī hai bhī bahut mushkil savāl
chhoḌ de ab tīr-o-tarkash chhoḌ de
guftugū se mas.ale kā hal nikāl