ruKHsaar Nazimabadi

hum unhen yunhi aazmaenge

ruKHsaar Nazimabadi

Karachi, Sindh, Pakistan

1959
ham unheñ yūñhī āzmā.eñge
pyaar meñ shart kyuuñ lagā.eñge
ye parinde haiñ āshiyāne ko
par nikalte hī bhuul jā.eñge
yaad rakhnā tumhārī āñkhoñ meñ
ham bahut jald jhilmilā.eñge
kyā tumheñ tab yaqīn aa.egā
log jab uñgliyāñ uThā.eñge
darmiyāñ apne aa ga.ī jo ḳhalīj
us par ik roz pul banā.eñge
bevafā zindagī ke rishte ko
āḳhirī saañs tak nibhā.eñge
ek baazī tirī ḳhushī ke liye
tujh se dānista haar jā.eñge
daur aisā bhī ek aa.egā
zarf kam-zarf āzmā.eñge
aap ko ājizī jatā.egī
vo takabbur meñ haar jā.eñge
pyaar kī guftugū nahīñ kiije
zaḳhm so.e haiñ jaag jā.eñge
Top Urdushayar.com