ruKHsaar Nazimabadi

sajde mein rahe kyun koi banda mere aage

ruKHsaar Nazimabadi

Karachi, Sindh, Pakistan

1959

sajde meñ rahe kyuuñ koī banda mire aage

jo hai mire pīchhe vahī hotā mire aage

lagtā hai ki chhoḌ aayā huuñ manzil kahīñ pīchhe

chaltā hai musalsal yūñhī rasta mire aage

ham do musāfir haiñ ḳhizāoñ ke havā meñ

ik maiñ huuñ aur ik zard vo pattā mire aage

sajde maiñ pāband huā huuñ yahāñ aa kar

jhuktā thā vahāñ par to farishta mire aage

maiñ zeb rahā huuñ kabhī yūsuf ke badan par

kyā chiiz bhalā dast-e-zuleḳhā mire aage

ik haath meñ kashkol hai duuje meñ tarāzū

aise meñ bhalā kaun Thahartā mire aage

jiine ko to kuchh aur bhī leñ yahāñ lekin

honā hai yahī khel tamāsha mire aage

kuchh aise bhī sajdoñ sharaf hai mujhe hāsil

ka.aba jo thā pīchhe vahī ka.aba mire aage

ik ḳhauf thā 'ruḳhsār' ki ġhālib zamīñ hai

tham tham ke har ik sher yuuñ utrā mire aage

Top Urdushayar.com