maiñ chehre par vasiyyat likh rahā huuñ
pasīne se mashaqqat likh rahā huuñ
milī hai aaj fursat likh rahā huuñ
bahut tāḳhīr se ḳhat likh rahā huuñ
samay kī dhuup se chehre par apne
har ik pal kī aziyyat likh rahā huuñ
ka.ī din ke maiñ fāqoñ se guzar kar
bas ik TukḌā ġhanīmat likh rahā huuñ
yahāñ par kuchh shanāsāoñ se mil kar
ye daur-e-ajnabiyyat likh rahā huuñ
kabhī aa kar milo mujh ajnabī se
maiñ ik lamha qayāmat likh rahā huuñ
amīr-e-kārvāñ ko ye ḳhabar do
ki manzil kī bashārat likh rahā huuñ
tirā ehsān hai mujh par mirī jaañ
tire ġham kī badaulat likh rahā huuñ
ye mausam ke sabhī rañgoñ meñ Dhal kar
mizāj-e-ādamiyat likh rahā huuñ