maiñ kyā karūñ yahīñ karnā hai intizār mujhe
isī jagah to milā thā vo pahlī baar mujhe
bisāt-e-zīst pe baazī palaT bhī saktī hai
tirā nasīb jo mil jaa.e musta.ār mujhe
usī ne mujh ko banā kar sipurd tere kiyā
zarā salīqe se ai zindagī guzār mujhe
binā lagām ke baiThā diyā hai mālik ne
tū ḳhvāh-maḳhvāh samajhtā hai shahsavār mujhe
ḳhatā muaaf ho is kī bhī kyā zarūrat thī
barā.e naam jo baḳhshā hai iḳhtiyār mujhe
talāsh-e-rizq meñ ghar se nahīñ nikaltā agar
to karnā paḌtā mayassar pe inhisār mujhe
tū ai zamīr jahāñ mujh ko le ke baiThā hai
usī maqām pe rakhiyo tū barqarār mujhe
qasam na khā tirī fitrat se ḳhuub vāqif huuñ
hai terī va.ada-ḳhilāfī kā e'tibār mujhe
ye zindagī jo kahīñ chain se nahīñ guzrī
tamām umr rahī fikr-e-rozgār mujhe
maiñ in ḳhalāoñ meñ gumnām ho na jā.ūñ kahīñ
urūj-e-fan mirī dahlīz par utaar mujhe