lihāz karte adab ehtirām karte hue
guzar rahā huuñ mohabbat ko aam karte hue
ye raat aa ke mujhe phir se joḌ detī hai
maiñ TuuT jaatā huuñ din iḳhtitām karte hue
baġhair zād-e-safar ham pahuñch ga.e manzil
bhaTakte girte sambhalte qayām karte hue
kisī kā koī bhī kirdār rah na jaa.e kahīñ
ḳhayāl rakhnā kahānī tamām karte hue
mirā zamīr malāmat kare hai yuuñ mujh par
mujhe jo dekhe hai tujh ko salām karte hue
ye mere pusta-e-jāñ meñ shigāf the lekin
kisī ne dekhā nahīñ rok thaam karte hue
vo baat baat pe nārāz hone lagtā hai
so ḳhauf aatā hai us se kalām karte hue
koī mazāq nahīñ umr bhar kī mehnat ko
kaleja chāhiye ġhairoñ ke naam karte hue