ruKHsaar Nazimabadi

maut ka Dar naKHuda kuchh bhi nahin

ruKHsaar Nazimabadi

Karachi, Sindh, Pakistan

1959
maut kā Dar nāḳhudā kuchh bhī nahīñ
zindagī kā mas.ala kuchh bhī nahīñ
aag paanī aur havā kuchh bhī nahīñ
sirf miTTī thī banā kuchh bhī nahīñ
kuchh lahū kā rañg aur kuchh āb-o-gil
mujh meñ to ḳhud-sāḳhta kuchh bhī nahīñ
zindagī kī is hasīñ pāzeb meñ
sirf ghuñgrū ke sivā kuchh bhī nahīñ
diid kī ḳhvāhish kī muusā ne vahāñ
lekin un par bhī khulā kuchh bhī nahīñ
ho na jab tak hijr kī mushkil radīf
vasl kā to qāfiya kuchh bhī nahīñ
be-yaqīnī hai yaqīnī kaifiyat
haath uThe haiñ par duā kuchh bhī nahīñ
haañ agar maqsūd ho dīdār-e-yār
tab ḳhalā aur fāsla kuchh bhī nahīñ
ab zamīñ par maiñ agar maujūd huuñ
is meñ to merī ḳhatā kuchh bhī nahīñ
jis tarah 'ruḳhsār' guzrī zindagī
maut kā ye marhala kuchh bhī nahīñ
Top Urdushayar.com