ruKHsaar Nazimabadi

logon ke pas dard ki daulat nahin rahi

ruKHsaar Nazimabadi

Karachi, Sindh, Pakistan

1959

logoñ ke paas dard daulat nahīñ rahī

ya.anī kisī ko koī zarūrat nahīñ rahī

masrūf is qadar kiyā us talāsh ne

mujh ko to ḳhud se milne fursat nahīñ rahī

duniyā ne harf harf meñ taqsīm kar diyā

ab zindagī kisī se ibārat nahīñ rahī

achchhā huā ki tark-e-ta.alluq kar liyā

āñkhoñ ko intizār zahmat nahīñ rahī

maiñ kyā karūñ dimāġh ne taḳhta ulaT diyā

ab dil pe dost terī hukūmat nahīñ rahī

gum ho ga.e haiñ saare salīqe vafāoñ ke

ab is jahāñ meñ rasm-e-mohabbat nahīñ rahī

rusvā.iyoñ ne ghar vo sar jhukā diyā

yuuñ shahar meñ vo ūñchī imārat nahīñ rahī

'ruḳhsār' muflisī ke karishme ajiib haiñ

ġhurbat meñ dostī bhī salāmat nahīñ rahī

Top Urdushayar.com